Wednesday, March 12, 2008

ASTITVA

Tej dhoop me seesha bhi heere sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
tej dhoop me hi marusthal jal sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
roop shringar se hi shareer sundar dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
maut ki god me jeev jad sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
kalpana ke tkht par jeev sthir sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
bhav ras me prem bhakti sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
aur swayam ko is shreni me utarkar dekho
iska astitva bhi khuchh aur hai
swayam ka kya bhramhand ka
astitva bhi annt! hai
annt ka bhi khuchh aur astitva hai
jab kisi ka khuchh naa ho phir bhi khuchh ho
wo hai ishwar ! bhramhand ke pratyek
'jad' aur chetan ka yahi ek astitva hai_ _ _

No comments: