Wednesday, March 12, 2008

VASTVIKTA

Zehan me dard tha itna ,kishi se kahe to kitna,
chipaaye palakh se aansu,dhikhaye to kise kitna,
guthi ko suljhayenge to shayad koi,
aitbar kar hase hasayega har koi,
zehan me ho khushiya to jale bhi har koi ,
chupa ho dard dil me to wafa bhi na koi,
ham me to mukaam tha dard ka khuchh is kadar ,
nikale to koi malik bhala kis kadar ,
kare jo jikr najro se,
batae kis kadar,
dard ki chadar ne humko yu dhaka,
aas ke naam ko sirhane lagakar baith gaye,
dard to tha zehan me phir bhi itna ,
zehan par aas ka marham lagakar baith gaye,
dil ye guljar ho naa jaane kab shayad,
wafa humko mile aagaaj ho,
naa jaane kab shayad,
darde dil ka aashiya banaye hum baithe,
surkh aankhe hui jab,
humne dil ka haal socha,
tamana thi humko bhi mile khushiya shayad,
sheeshe ki tarah dil bhi bikhar ke toot gaya,
hame malum naa tha, ki dhukhh hi hai !
"jindgi ka naam " jab socha to silsile hum bhool gaye.

ASTITVA

Tej dhoop me seesha bhi heere sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
tej dhoop me hi marusthal jal sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
roop shringar se hi shareer sundar dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
maut ki god me jeev jad sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
kalpana ke tkht par jeev sthir sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
bhav ras me prem bhakti sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
aur swayam ko is shreni me utarkar dekho
iska astitva bhi khuchh aur hai
swayam ka kya bhramhand ka
astitva bhi annt! hai
annt ka bhi khuchh aur astitva hai
jab kisi ka khuchh naa ho phir bhi khuchh ho
wo hai ishwar ! bhramhand ke pratyek
'jad' aur chetan ka yahi ek astitva hai_ _ _