Thursday, January 3, 2008

SRAYA

Har gaav eak sraya
har desh eak sraya
har kaum eak sraya
har rishta eak sraya
khuchh din yaha par rukkar
khuchh din vaha par rukkar
jeevan jagat par rukkar
manjil nisha par rukkar
kya kar liya hai insha
har path par tune rukkar
maa baap ka bhi rishta
ban jata hai sraya
duniya me jo tu aaya
yah bhi hai eak sraya
iska tu to mushphir
khuchh kshand hai rukkar chalna
rishto ka mol pinjar
duniya ka eak sapna
unmukat hoke udna
kahna nahi hai chalna
milte hai rat mushaphir
manjar to shirf itna
kahte hai chman insha
par hai to yah sraya
sach hai to yah sraya.

No comments: