Wednesday, March 12, 2008

VASTVIKTA

Zehan me dard tha itna ,kishi se kahe to kitna,
chipaaye palakh se aansu,dhikhaye to kise kitna,
guthi ko suljhayenge to shayad koi,
aitbar kar hase hasayega har koi,
zehan me ho khushiya to jale bhi har koi ,
chupa ho dard dil me to wafa bhi na koi,
ham me to mukaam tha dard ka khuchh is kadar ,
nikale to koi malik bhala kis kadar ,
kare jo jikr najro se,
batae kis kadar,
dard ki chadar ne humko yu dhaka,
aas ke naam ko sirhane lagakar baith gaye,
dard to tha zehan me phir bhi itna ,
zehan par aas ka marham lagakar baith gaye,
dil ye guljar ho naa jaane kab shayad,
wafa humko mile aagaaj ho,
naa jaane kab shayad,
darde dil ka aashiya banaye hum baithe,
surkh aankhe hui jab,
humne dil ka haal socha,
tamana thi humko bhi mile khushiya shayad,
sheeshe ki tarah dil bhi bikhar ke toot gaya,
hame malum naa tha, ki dhukhh hi hai !
"jindgi ka naam " jab socha to silsile hum bhool gaye.

ASTITVA

Tej dhoop me seesha bhi heere sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
tej dhoop me hi marusthal jal sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
roop shringar se hi shareer sundar dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
maut ki god me jeev jad sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
kalpana ke tkht par jeev sthir sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
bhav ras me prem bhakti sa dikhai deta hai
jabki iska astitva khuchh aur hai
aur swayam ko is shreni me utarkar dekho
iska astitva bhi khuchh aur hai
swayam ka kya bhramhand ka
astitva bhi annt! hai
annt ka bhi khuchh aur astitva hai
jab kisi ka khuchh naa ho phir bhi khuchh ho
wo hai ishwar ! bhramhand ke pratyek
'jad' aur chetan ka yahi ek astitva hai_ _ _

Tuesday, January 22, 2008

Karwa

Mod de ye jindgi par karwa chalta hi rahta.
aasuwo ke sailab aaye phir bhi cale ye jindgi.
khushiya najar na de magar phir bhi chale ye jindgi.
kayde hote bahut hai unpar chale naa jindgi.
milti rahe raahe bahut eas jindgi ke mod par.
raahe magar na jaye kiyu un manjilo ki vor par.
le aati hai sakhiya aasuwo ke jaam bhar.
manjile kho jati hai.
aandhiyo ki hod par.
dekhne par kwabo ke aati hai aandhiya ye kiyu.
ranj me duba huaa hai ruhaniyat ka ye safar.

aate hai jaljale magar karwa chalta hi rahta.
mod de ye jindgi par karwa chalta hi rahata.

Thursday, January 3, 2008

SRAYA

Har gaav eak sraya
har desh eak sraya
har kaum eak sraya
har rishta eak sraya
khuchh din yaha par rukkar
khuchh din vaha par rukkar
jeevan jagat par rukkar
manjil nisha par rukkar
kya kar liya hai insha
har path par tune rukkar
maa baap ka bhi rishta
ban jata hai sraya
duniya me jo tu aaya
yah bhi hai eak sraya
iska tu to mushphir
khuchh kshand hai rukkar chalna
rishto ka mol pinjar
duniya ka eak sapna
unmukat hoke udna
kahna nahi hai chalna
milte hai rat mushaphir
manjar to shirf itna
kahte hai chman insha
par hai to yah sraya
sach hai to yah sraya.